Haye Qasim Haye Qasim
Pamaal Lasha Dekh Ke Kehti Hain Bibiyan
Zahra Ki Tarhan Tooti Hain Qasim Ki Pasliyan
Tukre Pukare Dasht Main Labaik Ya Hussain
Aakar Kaha Jo Mola Ne Qasim Ho Tum Kahan
Pamaal Jeete Jee Jo Hua Hai Usay Salam
Rokar Lahu Ye Kehte Hain Khud Sahib Az Zaman
Aajao Mere Bhai Talak Bole Ye Hasan
Qasim Na Lo Hussain Ki Ghubat Ka Imtehan
Ye Keh Ke Kuch Nishano Ko Sheh Chumne Lage
Abbas Dekhko Ragri Hai Qasim Ne Ayriyan
Tukre Uthane Laash Ke Sarwar Ke Saath Saath
Zahra Gayi Hai Dasht Mein Jaane Kahan Kahan
Pamaal Ho Na Laash Chacha Ki Ye Soch Kar
Lipta Hua Sumo Se Hai Farwa Ka Naujawan
Madar Kare Gi Kis Tarhan Deedar Aakhri
Haye Sumo Ke Chand Se Chehre Pe Hai Nishan
Lagta Hai Mujh Ko Mir Takallum Khayam Se
Ab Bhi Sunayi Deti Hai Farwa Ki Hichkiyan
