Tu Agar Hota Tou Aisa Nahi Hota Ghazi

Tu Agar Hota Tou Aisa Nahi Hota Ghazi
Teri Shehzadi Yun Dar Dar Na Phirayi Jaati
Qabr E Abbas Pe Zainab Ye Sada Deti Thi


Kabhi Yasrab Tou Kabhi Sue Najaf Dekhte Thy
Kabhi Tere Kate Shano Ki Taraf Dekhte Thy
Sheh Ne Akbar Ke Kaleje Se Nikali Barchi

Hogayi Sani E Zahra Bhi Zaeefa Abbas
Saans Leti Hoon Magar Main Nahi Zinda Abbas
Tere Tukro Ki Qasam Teri Behan Toot Gayi

Pyaas Mein Bhi Tujhe Awaaz Diye Jaate The
Zere Khanjar Bhi Tera Naam Liye Jaate The
Gardan E Shaah Pe Jab Shimr Chalata Churi

Mere Haatho Ko Bhi Rassi Se Gaya Tha Bandha
Main Bhi Haathon Ka Na Le Payi Sahara Bhaiya
Jaise Tu Zeen Se Gira Waise Main Naaqe Se Giri

Qaid Khana Bhi Ghareebi Pe Meri Rota Hai
Laash Mastoor Uthaye Ye Kahan Hota Hai
Farz Beton Ka Nibha Aayi Ali Ki Beti

Kaise Batlau Wo Darbar Ka Manzar Bhaiya
Khelta Tha Sar E Sarwar Se Sitamgar Bhaiya
Maarta Tha Mere Mazloom Ke Hoton Pe Chari

Qabr Mein Chain Se Masoom Ko Sone Na Diya
Wo Sitam Dhaya Gaya Kaanp Gayi Karbobala
Laash Dhoondhi Gayi Naizo Se Ali Asghar Ki

Ladkharate Thy Bohot Paon Tou Gir Jaate Thy
Ho Kahan Mere Jawan Ro Ke Ye Farmate Thy
Laash Milti Na Thi Bhaiya Ko Ali Akbar Ki


Mir Sajjad Ye Mehsoos Karo Ge Tum Bhi
Aati Hai Roza E Ghazi Pe Sada Sarwar Ki
Aj Bhi Qaid Hai Zindan Main Bachi Meri

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *