Yahan Sambhal Kar Qadam Uthana
Yeh Karbala Hai Yeh Karbala Hai
Yeh Baat Hargiz Na Bhool Jaana
Jahan E Sabr O Riza Yehi Hai
Khuda E Sabr O Riza Yehi Hai
Yahan Pe Aatay Hain Chal Ke Mehdi
Bahisht E Zehra Ye Sar Zameen Hai
Yahan Hai Zehra Ka Aana Jaana
Duaein Dein Ge Hussain Tum Ko
Yahan Pe Aansu Agar Bahaye
Jahan Pe Beti Ne Be Watan Ki
Sitamgaron Se Tamache Khaye
Yahan Pe Khushiyon Ko Bhool Jana
Yahan Pe Guzri Hai Wo Qayamat
Mila Na Is Ko Sukoon Ab Tak
Ridaein Chinne Ke Gham Main Abid
Lehad Mein Rota Hai Khoon Ab Tak
Yahan Pe Hargiz Na Muskurana
Yahan Pe Hur Bhi Tha Hurmala Bhi
Kitaab E Hasti Ko Parh Ke Dekho
Sada E Hal Min Tou Aa Rahi Hai
Tum Is Taraf Ho Ya Us Taraf Ho
Tumhein Amal Se Hai Ab Batana
Kahin Pe Qasim Hue Hain Tukray
Kahin Pe Zeen Se Giray Thy Mola
Kahin Sakina Sumon Se Lipti
Kahin Pe Asghar Ne Teer Khaya
Yahin Gareebi Ka Hai Thikana
Sawaari Aayegi Ik Wahan Se
Najaf Ki Janib Nigah Rakhna
Jab Aaye Shaam E Gareeban Us Dam
Ali Ko Zainab Ka Pursa Dena
Tum Aansuon Ke Diye Jalana
Kisi Ke Dil Mein Lagi Hai Barchi
Kisi Ke Baazu Katay Yahin Par
Ali Ki Beti Ke Kitne Yusuf
Lahu Mein Doobay Hain Is Zameen Par
Luta Hai Sadat Ka Gharana
Rahe Kahin Bhi Jahan Main Jaa Kar
Hussain Wale Ye Jante Hain
Hum Ahl E Matam Ke Dil Takallum
Yahan Ki Matti Se He Bane Hain
Yahan Hai Wapis Palat Ke Aana
