Sar E Abbas Ata Hai

Kaha Zainab Ne Ye Ro Kar Sambhalo Bibiyon Chadar
Sar E Abbas Ata Hai

Bula Laye Sakina Ko Koi Zindan Se Ja Kar
Sar E Abbas Aata Hai

Ye Ghairat Ka Khuda Hai Iski Ghairat Ka Takaza Tha
Khula Sar Dekh Ke Naize Se Jo Ye Sar Girata Tha
Nahi Hai Pas Gar Chadar Tou Rakh Lo Haath He Sar Par

Bhara Hoga Lahu Ankhon Main Uski Khud Hataon Gi
Main Bachpan Ki Tarhan Se Bhai Ka Chehra Dhulaon Gi
Agar Mumkin Hai Tou De De Koi Paani Mujhe Laa Kar

Mujhe Uthna Pare Ga Bibiyon Tazeem Ko Uski
Main Maa Ummul Baneen Ki Simt Se Ghazi Ko Chumun Gi
Sambhale Sar Koi Aun O Mohammad Ke Yahan Aakar

Issi Ehsaas Se Us Ne Nazar Apni Jhukayi Hai
Usay Maloom Hai Ye Kitna Ghairat Mand Bhai Hai
Chupaye Kis Tarhan Zainab Pare Hain Neel Shano Par

Mila Pani Usay Pucha Tou Kya Batlaye Gi Zainab
Bhala Uski Bhatiji Ko Kahan Se Laye Gi Zainab
Nigahein Uski Dhoondhe Gi Sakina Ko Yahan Aakar

Thy Sab Ki Jholiyon Mein Apne Apne Laadlo Ke Sar
Ruqaiya Umme Laila Umme Farwa Madar E Asghar
Uthi Kehte Hue Har Maa Sar Apne Laal Ka Rakh Kar

Takallum Shamiyon Ki Aurtein Bhi Roti Jaati Hain
Ali Ki Betiyan Jaldi Se Zakhmo Ko Chupati Hain
Khari Hai Haath Phailaye Hue Khud Zainab E Muztar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *