Amma Ruka Na Shimr E Laeen Mere Bain Se
Sattar Qadam Thi Dur Ye Zainab Hussain Se
Bhai Bhai Pukarti Rahi Main
Phir Bhi Khanjar Nahi Ruka Amma
Shimr Ne Ki Phir Aisi Ghustakhi
Mujhse Dekha Nahi Gaya Amma
Tum Jo Zulfein Sawara Karti Thi
Unhi Zulfon Mein Haath Tha Uska
Jahan Bose Diye Thy Nana Ne
Ussi Gardan Se Khoon Tapakta Tha
Sar E Shabbir Yun Uthaye Hue
Shimr Khaime Tak Agaya Amma
Dekh Kar Mujh Ko Bain Karte Hue
Shimr Har Baar Muskarata Raha
Meri Nazro Ke Samne Zalim
Waar Gin Kar Churi Chalata Raha
Haye Terah Zarbein Thi Kund Khanjar Tha
Aur Shabbir Ka Gala Amma
Charo Janib Se Ghair Rakha Tha
Tere Noor E Nazar Ko Lashkar Ne
Teer Barsata Tha Koi Us Par
Koi Patthar Se Marta Tha Usay
Haye Rait Zakhmo Pe Wo Girata Raha
Jis Ko Patthar Nahi Mila Amma
Taigh Jis Dum Koi Chali Us Par
Haye Abbas Keh Ke Roya Tha
Teer Peshani Pe Laga Jis Dum
Haye Asghar Zaban Pe Aaya Tha
Haye Akbar Pukara Bhaiya Ne
Jab Bhi Naiza Koi Laga Amma
Haye Jab Chalaya Tha Shimr Ne Khanjar
Maine Ankhon Se Apni Dekha Tha
Haath Apne Utha Ke Pehlu Se
Tu Ne Sukhe Gale Pe Rakha Tha
Ungliyan Zakhmi Hogayi Hongi
Haath Mujh Se Tou Na Chupa Amma
Aisi Nafrat Thi Unke Seeno Mein
Ye Bhi Socha Na Shaam Walo Ne
Deen E Islam Mein Zabiha Tak
Zibha Pyaase Nahi Kiye Jaate
Haye Teen Din Se Hussain Pyasa Hai
Ye Bhi Socha Nahi Gaya Amma
Maa Ye Zainab Se Kehti Thi Akbar
Meri Aghosh Mein Tha Sar Uska
Maine Gardan Ko Katte Dekha Tha
Maine Saanso Ko Rukte Dekha Tha
Haye Aakhri Baar Zer E Khanjar Bhi
Maine Shabbir Se Suna Amma
