Kya Likha Fatima Sughra Ne Bataya Na Gaya
Sheh Se Khat Lasha E Akbar Pe Sunaya Na Gaya
Sheh Ne Chaha Tou Bohat Zakhm Magar Itne Thy
Lasha Abbas Ka Darya Se Uthaya Na Gaya
Jab Talak Aa Na Gaye Sare Sharabi Tab Tak
Sani E Zehra Ko Darbar Mein Laya Na Gaya
Dekha Sairab Zabeehe Ko Tou Bole Sajjad
Ary Mere Baba Ko Tou Paani Bhi Pilaya Na Gaya
Aik Shabbir Ki Beti Ke Siwa Duniya Mein
Haye Kisi Masooma Ko Nakay Se Giraya Na Gaya
Bheedh Is Darja Thi Hanste Hue Logoan Ki Wahan
Hai Sar Bhi Bazar Mein Abid Se Uthaya Na Gaya
Baap Ka Sar Jo Mila Soyi Lipat Kar Aise
Maa Se Bhi Baali Sakina Ko Jagaya Na Gaya
Mir Sajjad Shah E Deen Se Ali Asghar Ka
Chehra Jalti Hui Reti Se Chupaya Na Gaya
