Ro Rahi Hai Soch Kar Ummul Baneen Ye Aaj Bhi
Asghar E Baysheer Jaisi Qabr Hai Abbas Ki
Rashk Karti Thi Main Aksar Haider E Karar Par
Paaon Khat Dete Thy Uske Beth Kar Rahwaar Par
Haye Mere Sher Ki Kaisi Halat Hogayi
Mar Ke Bhi Usne Nibhaya Mujh Se Jo Wada Kiya
Apne Bete Ki Wafa Par Fakhr Hai Mujh Ko Bara
Ab Nahi Asghar Ki Maa Se Kuch Mujhe Sharmindagi
Baap Ke Badle Musalmano Ne Bete Se Liye
Sar Juda Hai Tan Juda Bazu Juda Hai Sher Ke
Aap Ki Tasweer Tukre Hogayi Hai Ya Ali
Kon Lar Sakta Tha Us Se Kis Main Tha Itna Jigar
Sunti Hoon Nau Laakh Ne Mara Hai Usko Ghair Kar
Laash Bhi Uski Salamat Dasht Mein Rehne Na Di
Kya Qad O Qamad Thi Uski Ye Usay Maloom Tha
aik Gathri Main Simat Kar Kaise Qasim Agaya
Umme Farwa Jaanti Hai Kya Hai Meri Bekasi
Kab Samata Tha Meri Chadar Main Tu Aye Mere Laal
Kar Diya Hai Zalimo Ne Ye Tere Laashe Ka Haal
hai Mere Sar Ki Rida Bhi Teri Turbat Se Bari
Keh Ke Ya Abbas Karta Hai Wo Ashko Se Wuzu
Darti Hoon Jaari Na Ho Phir Uski Aankhon Se Lahu
Samne Abid Ke Yun Kehti Nahi Hoon Main Kabhi
Ro Ke Karti Hai Salam Unko Takallum Karbala
Fatima Zehra Se Maa Bete Ne Ki Aise Wafa
Madar E Abbas Ki Turbat Bhi Hai Tooti Hui
