Khaime Main Aake Shah Ne Jab Alwida Kaha
Kohraam Mach Gaya
Tha Jiska Intezar Wo Saat Qareeb Hai
Din Dhal Raha Hai Sham e Musibat Qareeb Hai
Kuch Dair Ki Hai Bat Qayamat Qareeb Hai
Zainab Ghareeb Bhai Ki Ruksat Qareeb Hai
Ye Keh Ke Maanga Maa Ka Jo Kurta Sila Hua
Kuch Door Hatke Khaime Main Bole Shahe Zaman
Zehmat Na Ho Ke Baazu Badhao Meri Behan
Mai Bosa Loo Waha Ke Bandhegi Jahan Rasan
Baazu Badha Ke Roti Thi Hamsheer Khastatan
Bhai Behan Ke Baazu Ko Jab Choomne Laga
Ye Sunke Binte Fatima Zehra Tarap Gayi
Boli Gala Barhao Bas Ab Jald Ya Akhi
Amma Ki Baat Aaj Mujhe Yaad Aagayi
Main Bosa Loo Wahan Ke Chalegi Jahan Churi
Zainab Ne Barh Ke Chooma Baradar Ka Jab Gala
Beti Se Phir Ye Kehne Laga Fatima Ka Laal
Rehna Phupi Ke Paas Rakhengi Tera Khayal
Ghurbat Hai Tum Phupi Se Na Karna Koi Sawaal
Warna Tere Padar Ko Bahot Hoyega Malaal
Phir Sar Pe Haath Rakh Ke Jo Dene Lagay Dua
Beti Ko Jab Supurde Behan Kar Chuke Imam
Rokar Behan Se Kehne Lage Aasman Maqam
Jaana Watan Jo Qaid Se Chutkar Ayy Tishnaqam
Kehna Lehad Pe Maa Ki Mera Aakhri Salam
Aaya Jo Lab Pe Fatima Zehra Ka Tazkira
Abid Se Phir Ye Kehne Lage Shahe Karbala
Bewaon Ka Aur Yateemo Ka Ab Tum Ho Aasra
Jo Imtehan Mera Tha Sab Maine Dediya
Aagaye Tera Jihad Hai Bemaare Karbala
Bemaar Beta Baap Se Jis Dam Juda Hua
Khaime Se Baahar Aaye Jo Sultane Karbala
Sar Ko Jhukaye Rota Tha Khud Asbe Bawafa
Ab Kis Tarha Sawaar Ho Zehra Ka Laadla
Tanhai Ke Siwa Koi Yawar Nahi Bacha
Jab Suye Nehr Dekh Ke Ghazi Ko Di Sada
Bhai Ko Tanha Dekh Ke Zainab Tarap Gayi
Roti Hui Hussain Ke Nazdeek Aa Gayi
Aur Phir Raqaab Thaam Ke Boli Ayy Shah e Deen
Lo Main Sawaar Karti Hoo Abbas Gar Nahi
Wayiz Hua Sawaar Jo Zehra Ka Laadla
