Ayy Shaam Ke Logon Main Bint e Ali Hoon
Main Waris e Tatheer Hoon Naamos e Nabi Hon
Bazar Se Darbaar Main Le Aaye Ho Mujh Ko
Chahoon Tu Jala Sakti Hon Khutbon Se Main Tum Ko
Saaber Ki Behan Hon Jo Main Khamosh Khari Hon
Afsos Kaneezi Main Usa Mang Rahe Ho
Tum Jis Ke Ghulamon Ki Ghulami Main Rahe Ho
Ye Zulm Na Hoga Kabhi Main Zinda Abhi Hon
Tum Apne Paighambar Ko Agar Dekhna Chaho
Neze Pe Jo Ye Sar Hai Use Goar Se Dekho
Hum Shakal e Paighambar Hai Ye Main Iski Phuphi Hon
Aur Is Se Kathin Waqt Kya Hoga Meri Mabood
Fizza Ke Tarafdaar Hain Darbaar Main Maujood
Main Pusht Pe Fizza Ke Khari Dekh Rahi Hon
Zahra Ko Bhi Darbaar Main Tum Na Tha Bulaya
Darbaar Main Main Bhi Hon Magar Farq Hai Itna
Parda Main Thi Woh Aur Main Ba Parda Khari Hon
Zanjeeron Main Jakra Jo Ye Beemar Khara Hai
Sajda Use Kaabay Ki Faseelon Ne Kiya Hai
Mansab Main Bara Woh Hai Main Rishte Main Bari Hon
Zinda Tha Tu Dar Dar Ke Hamesha He Lare Ho
Ab Sar Hai Tu Honton Pe Chhari Maar Rahe Ho
Tum Kitne Bahadur Ho Main Ye Dekh Rahi Hoon
Hone Lagi Darbaar Main Mushtarka Azaanen
Rahaan Idhar Naam e Nabi Goonja Fiza Main
Bibi Ne Kaha Fakhar Se Main Jeet Gayi Hoon
