Boli Zehra Zainab Ka Yun Sath Nibhaana
Aaghyaar Ke Majme Mein
Fizza Tu Ridaa Banke Zainab Ko Chhupana
Pehli Manzil Tu Karbala He Magarsaath Abbas Bhi Wahaan Hoga
Dard Karbobala Ka Apni Jagah Bs Mujhe Shaam Ka He Ghum Fizza
Khud Dekh Chuki Hun Mein Mushkil He Bohot Fizza Darbaar Mein Jaana
Tashnagi Had Se Barh Gayi Hogi Chhote Bacchhon Ko Wo Sambhaalegi
Apne Hisse Ka Aab Bhi Zainab Pyaase Bachhon Mein Baant Daalegi
Khud Apne He Hisse Se Kuch Paani Bacha Phir Tum Zainab Ko Pilana
Mujh Ko Malum Hain Yateemi Mein Log Jab Rokte Hein Rone Se
Us Ghari Dil Pe Kya Guzarti Hain Main Samajhti Hon Dukh Sakina Ke
Dil Kholke Baba Ki Maiyyat Pe Woh Ro Le Tu Maiyyat Se Uthaana
Qaafla Jab Chalega Sehra Se Koi Maqtal Mein Choot Jaayegi
Us Se Pehle Ke Pohonche Zainab Tak Shimr Ke Haath Aayegi Bachhi
Tab Shimr Ke Haathon Se Tum Meri Sakina Ke Baalon Ko Churana
Sunke Binte Nabi Ki Baton Ko Boli Saqlain Fizza Zehra Se
Tum Se Bibi Yahi Guzarish Hai Jitne Wade Kiye Hai Fizza Ne
Mein Kaise Nibhaati Hon Un Shaam Ki Galiyon Main Tum Dekhne Aana
