Ay Dard Ke Darman Sultan e Khurasan
Aala Hai Teri Shan Ayy Quran Ke Quran
Hum Sab Ka Hai Emaan Jannat Hai Khurasan
Kiya Jo Zikr Ali Ka Raza Ke Roze Par
Najaf Ka Daikha Nazara
Qabool Hogai Tauba Raza Ke Roze Par
Parha Jo Surah Tauba Raza Ke Roze Par
Rasool Tark Ko Daikha Raza Ke Roze Par
Kushi Main Jhoom Raha Tha Raza Ke Roze Par
Ghareeb Ho Nahi Ja Sakta Hajj Pe Aao Chalo
Sawab Hajj Ka Milaiga Raza Ke Roze Par
Khuda Ka Shukr Ke Dharkan Ka Aur Nobat Ka
Tha Rang Ek He Jaisa Raza Ke Roze Par
Samajh Main Agayi Khud Dar E Mustaqeem Mujha
Parha Jo Humd Ka Noha Raza Ke Roze Per
Yahan Pe Koi GunhaGar Aa Nahi Sakta Raza Ke Roze Par
Kahin Likha Nahi Daikha Raza Ke Rozey Par
Mazeef Shah E Khurasan Main Khuli Mujh Par
Haqeeqat E Man O Salwa Raza Ke Roze Par
Meri Biyaaz Main Khamoshi Tha Jo Arsa Sa
Wo Shair Hogaya Zinda Raza Ke Roze Par
Ali Ali Ki Sada De Raha Tha Jab Main Ne
Kalam Pak Ko Khola Raza Ke Roze Par
Mila Yun Rizq Ke Qatar Unthon Ki
Sawal Rizq Kiya Tha Raza Ke Roze Par
Barhi Hui Ye Batati Hai Loh Chiragon Ki
Hawa Ka Bas Nahi Chlta Raza Ke Roze Par
Talash Mir Hasan Ko Na Karna Bad E Qaza
Wo Karbala Main Ya Hoga Raza Ke Roze Par
