Rok Na Tu Rahwar

Jab Maqtal Ko Mazloom Chala
Zainab Ne Lagam Ko Tham Liya
Tujhe Jaane Doon Dil Nahin Karta
Bin Tere Jiyon Dil Nahin Karta
Mola Ne Kaha Mujhe Jana Hai
Mujhe Wada Behan Nibhana Hai
Na Lashkar Na Ghar Baar Raha
Tu Ujr Gayi Main Ujr Gaya
Nai Lagda Dil Mera
Mera Koi Raha Na Gham Khawar
Zainab Rook Na Tu Rahwar
Mil Veer Koon Aakhri Vaar
Mera Lashkar Raha Na Salar

Aao Behna Zainab  Aao Mere Seene Se Lag Jao
Betī Ali Ki Na Ghabraao Aao Meri Aas Bandhao
Na Hoga Ab Milna Mujhe Dekh Le Aakhri Baar

Main Pardesi Allah Rasi Main Hoon Aur Meri Tanhai
Jaati Hai Ab Meri Sawari Mera Khuda Ho Mujh Se Raazi
Main Tanha Main Pyaasa Mera Lashkar Raha Na Salar

Aaya Chado Ke Shahr e Madina Lutiya Mera Paak Safeena
Dekh Tukre Zakhmi Hai Seena  Baad Akbar Ke Main Nahin Jeena
Nai Lagda Dil Mera Na Lashkar Raha Na Salar

Baad Mere Masoom Sakina Yaad Karegi Mera Seena
Mujh Se Milegi Ab Woh Kabhi Na Mushkil Ho Ga Us Ka Jeena
Meri Pyari Meri Beti Mere Seene Pe Sui Har Baar

Baad Mere Aao Vela Aana, Sar Te Parda Shimar Lagaana
Qadiyan Wala Zevar Paana  Qaidi Ho Ke Shaam Na Jaana
Bazaaran, Darbaran Tu Vanjana Hai Sang Beemar

Mera Ek Paigham Hai Behna Mere Azaadaaron Se Kehna
Jab Bhi Thanda Paani Peena Pyaase Hussain Ki Pyaas Pe Rona
Haan Ghar Ghar Ta Mahshar Mujhe Roenge Myaze Daar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *