Jana Hai Karbala

Kehte Hain Jab Bhi Jis Ko Bhi Jana Ho Karbala
Zawar Jis Ko Bana Ho Maula Hussain Ka
Lazim Hai Iss Ke Waste Abbas Ki Riza
Abbas Ki Riza
Abbas Bulalo Zawaar Bana Do
Ik Baar Humain Roza E Shabbir Dikhado
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Ghar Hamain Jana Hai
Badshah E Karbala Hai Shah E Nenawa
Jald Bulana Hamain Jald Bulana

Jab Aaye Chand Raat Muharram Ki Ya Khuda
Ay Kash Karbala Main Hum Bhi Hon Kisi Jagah
Manzar Wo Hum Bhi Dekhle Parcham Kushai Ka
Labaik Ya Hussain Hamari Bhi Ho Sada
Pana Hai Ye Sharaf Pana Hai
Sheh Ke Zawaaron Main Naam Likhwana Hai

Mola Tumhare Chahane Walon Ki Hai Sada
Karna Hai Karbala Main He Ashoor E Karbala
Mola Nazar Ke Samne Roza Ho Aap Ka
Matam Zari Ke Samne Ho Aap Ka Bapa
Kehna Hai Bas Yehi Kehna Hai
Hum Ko Bhi Mola Ke Saye Main Rehna Hai

Mola Hame Bhi Apni Ziyarat Karaiye
Ayy Famita Ke Laal Hame Bhi Bulaiye
Zawaar Karbala Ka Humain Bhi Banaiye
Jageer Bawafa Ki Hame Bhi Dikhaiye
Aana Hai Roz Wo Aana Hai
Zikr E Mola Karne Ham Ko Bhi Aana Hai

Dekhain Nazara Ham Bhi Wahan Arbain Ka
Pedal Safar Najaf Se Karain Suye Karbala
Bante Sabeel Aur Tabaruk Jagah Jagah
Jari Rahe Aaza E Hussaini Ka Silsila
Karna Hai Ye Safar Karna Hai
Sang Azadaron Ke Hum Ko Bhi Jana Hai

Ye Aarzu Hai Karbubala Jab Bhi Jayain Gaye
Ham Khemagah Mashko Alam Le Ke Jaye Gaye
Abbas Ka Hussain Ko Noha Sunain Gaye
Sadat Ke Ugarne Ka Matam Karai Gaye
Rona Hai Han Humain Rona Hai
Karbala Walon Ka Soog To Hona Hai

Kat Kar Gire The Bazu E Abbas Jis Jagah
Akbar Jawan Ka Jahan Chhalni Gigar Huwa
Asghar Ne Khaya Haske Jahan Teer E Hurmala
Duba Jahan Pe Khoon Main Lashkar Hussain Ka
Jana Hai Har Jagah Jana Hai
Jake Har Ghurbat Par Ashk Barsana Hai

Mola Hussain Apne Kya Kam Kardiya
Apne Lahoo Sa Khak Ko Khak E Shifa Kiya
Mola Ye He Hai Apke Zawar Ki Dua
Hum Bhi Parhain Namz Sar E Arz E Karbala
Suna Hai Han Humain Suna Hai
Haram E Mola Ki Wo Azan Suna Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *