Janum Ya Hussain

Hussain Ka Jo Soog Hai Na Khatm Hoga Ba Khuda
Moharram O Safar Na Ho To Ghum Na Hoga Saath Kya
Zindagi Ke Saath Bhi, Zindagi Ke Baad Bhi
Baadshah Hamara Ya Hussain
Janam Ya Hussain

Maula Awaaz Do Hume Parwaaz Do
Hum Azadaro Ki Taqdeer Jaga Do
Aapka Saath Ho Aapki Baat Ho
Dil Mera Apna Azakhana Bana Do

Zinda Wafadari Rahe Farsha Azadari Rahe
Tujh Pe Jiye Tujhpe Mare Naukri Ye Chalti Rahe
Hum Rahe Na Rahe Hum Jiye Na Jiye
Is Jahan Ke Saath Bhi  Is Jahan Ke Baad Bhi
Badshah Badshah  Badshah Ya Hussain

Tera Ye Gham Saath Rahe  Tera Karam Saath Rahe
Chalte Rahe Ehle Azaa  Aur Alam Saath Rahe
Har Qadam Dum Badam  Saath Ho Tera Gham
Karbala Ki Qasam
Dhadkano Ke Saath Bhi  Dhadkano Ke Baad Bhi

Mola Mere Dil Ki Sada  Maang Raha Hon Ye Dua
Mola Tere Naam Rahe  Jeena Mera Marna Mera
Ay Khuda Sun Sada Hai Yehi Iltejaa Tu Dikha Karbala
Is Dua Ke Saath Bhi  Is Dua Ke Baad Bhi

Aaqa Shahe Karbobala  Tune Bada Kaam Kiya
Deen Pe Sab Vaar Diya Phir Bhi Tera Sar Na Jhuka
Ghar Diya Sar Diya Bach Gaya La Ilaha Saj Gayi Karbala
Karbala Ke Sath Bhi Karbala Ke Baad Bhi

Jeete Raho Ehle Azaa Dil Mein Rahe Karbobala
Shaad Raho Chalte Raho Pehne Hue Shale Azaa
Hai Dua Ho Sadaa Har Jagah Ye Azaa Ye Sadaa Ye Nawaa
Majliso Ke Saath Bhi Majlison Ke Baad Bhi

Nabi Ali O Fatima Hasan Ke Chain Marhaba
Khuda Ke Noor Panjtan Ke Noor e Aen Marhaba
Sada Rahe Ye Silsila Na Toote Tujhse Raabta
Tu Dhadkano Mein Bas Gaya Tu Rooh Mein Sama Gaya

Lahoo Main Mere Goonjta  Hussain
Hamara Hai Aata Pata Hussain
Salam Aashiq E Khuda
Salam Jaan E Mustafa
Salam Qalb E Murtaza
Salam Rooh E Fatima
Salam Shah E Karbala
Ghareeb E Nainawa
Ghareeb E Fatima
Ghareeb E Murtaza
Hussain Ya Hussain

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *