Main Hussain Hon

Haan Maula Maula Maula
Jab Lashkar E Hussain Sar E Khaak So Gaya
Hussain Ya Hussain Maula
Aur Fatima Ke Laal Ka Koi Nahi Raha
Hal Min Mughisona Ki Shah E Deen Ne Di Sada
Goonja Fizaa Mein Aakhri Khutba Hussain Ka

Main Nabi Ki Aankhon Ka Noor Hoon
Main Hussain Hoon Wohi Hussain Hoon
Main Ali Ke Dil Ka Suroor Hoon
Meri Maa Hai Janab E Sayyeda
Mera Bhai Hassan Dil E Mustafa
Meri Hum Qadam Meri Do Behan
Mera Bhai Ghazi Qarar E Mann

Main Sawar E Dosh E Rasool Hoon
Main Hussain Jaan E Butool Hoon
Main Kalaam E Rab Ki Misaal Hoon
Main Gharana E Lazawaal Hoon
Mujhe Naaz Apne Chaman Pe Hai
Main Hoon Paanchwa Rukn E Panjtan

Main Hussain Waris E Deen Hoon
Main Gumaan Nahi Main Yaqeen Hoon
Mujhe Ishq Naam E Khuda Se Hai
Meri Jang Ahl E Dagha Se Hai
Meri Zindagi Mere Rab Ki Hai
Main Chala Hoon Ghar Se Liye Kafan

Main Hazaar Sadme Utha Chuka
Main Charaagh Apne Bujha Chuka
Main Tamam Lashkar Ganwa Chuka
Main Zameen E Maqtal Saja Chuka
Lo Main Zuljanah Se Gir Gaya
Na Hai Zeen Pe Aur Na Zameen Pe Tan

Lo Main Nok E Naiza Pe Aa Gaya
Main Kamal E Maqsad Ko Paa Gaya
Tah E Tegh Sajda Ada Kiya
Main Utha Tu Paish E Khuda Gaya
Hai Sada E Hal Min Ka Mojza
Hai Jahan Mein Zinda Mera Sukhan

Main Hussain Jaan E Karbala
Hai Yahan Ki Matti Mein Bhi Shifa
Lo Rehan O Sarwar Karo Dua
Rahe Saaya Sab Par Hussain Ka
Rahe Hashr Tak Yehi Silsila
Yehi Ik Sada Ho Zameen O Zamaan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *