Ab Mujhe Koi Sakina Nahi Kehta Baba

Ab Mujhe Koi Sakina Nahi Kehta Baba
Qaidi Kehta Hai Koi Koi Yateema Baba

Main Bayan Kaise Karun Apni Musibat Tum Se
Kya Karun Apne Tamachon Ki Shikayat Tum Se
Sunti Hoon Dadi Ne Khaya Tha Tamacha Baba

Neel Rukhsaron Pe Beenayi Bhi Jiski Kam Ho
Umr Ho Chaar Baras Aur Kamar Main Kham Ho
Ap Ne Dekhi Hai Kya Aisi Zaeefa Baba

Khoon E Baysheer Se Andaza Kiya Tha Maine
Aap Ka Chehra Tou Pehchan Liya Tha Maine
Ap Pehchano Ge Kaise Mera Chehra Baba

Ap Thy Dur Tou Main Saare Sitam Sehti Rahi
Ro Pari Kufe Ke Darbar Main Main Seh Na Saki
Ap Ke Samne Jab Shimr Ne Maara Baba

Wo Tou Bemaar Thi Mar Jati Safar Main Aake
Dafn Karte Usay Bazaar Main Bhaiya Kaise
Ye Tou Acha Hua Aayi Nahi Sughra Baba

Meri Ankhon Se Bahe Jate Thy Aansu Us Dam
Haath Bhi Maine Lagaya Nahi Dadi Ki Qasam
Dena Chaha Tha Mujhe Logon Ne Sadqa

Us Ghari Dhoond Rahi Thi Main Chacha Jaan Ka Sar
Kaise Batlaun Ke Kya Guzri Teri Beti Par
Mujh Ko Zaalim Ne Kaneezi Main Jo Manga Baba

Bain Ye Karte He Khamosh Hui Wo Akbar
Aj Tou Jayen Ge Saath Apne Mujhe Bhi Lekar
Ap Ko Meri Qasam Kijiye Wada Baba

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *