Is Tarhan Zahra Ne Daman Ko Bichaya Rait Par
Kat Gaya Muslim Ka Sar Lekin Na Aaya Rait Par
Lash Kufa Main Giri Thi Baad Main Muslim Teri
Pehle Sar Shabeer Ne Apna Giraya Rait Par
Ro Para Abbas Ka Sar Dukhtar E Muslim Ne Jab
Bar Sar E Bazar Baba Ko Bulaya Rait Par
Aye Khuda Shohar Ke Gham Mein Yun Na Bethe Phir Koi
Jaise Qismat Ne Ruqaiya Ko Bithaya Rait Par
Dekh Kar Muslim Ki Aankhein Khoon Roti Reh Gayi
Be Ridayi Main Khari Zainab Ka Saya Rait Par
Rah E Kufa Janti Hai Jab Tamachon Se Giri
Sog Muslim Ka Sakina Ne Manaya Rait Par
Har Taraf Phaili Hui Hai Khoon E Muslim Ki Mehak
Is Tarhan Zalim Ne Lashe Ko Phiraya Rait Par
Ehtaraman Gir Gaye Aur Us Jaga Bosay Diye
Khoon Abid Ne Jahan Muslim Ka Paya Rait Par
Dekhne Aayi Hain Behnein Jhon Pehne Rasiyan
Kis Tarhan Muslim Ne Maqtal Hai Basaya Rait Par
