Aye Chand Muharram Ke

Aye Chand Muharram Ke Tu Badli Mein Chala Jaa
Tujhe Dekh Ke Maar Jaye Na Beemar Hai Sughra

Ghar Zahra Ka Lutne Ki Khabar Tu Ne Sunayi
Tujhe Dekh Ke Roti Hai Muharram Main Khudayi
Chodah Soo Baras Beetay Sab Karte Hain Shikwa

Wada Jo Kiya Behan Ko Seenay Se Laga Ke
Main Shadi Karon Ga Tou Tere Pas He Aakay
Main Saath Muharram Ko Lauton Ga Na Ghabra

Behno Ka Tou Bhaiyon Se Rishta He Ajab Hai
Tum Bhool Gaye Mujh Ko Ye Kaisa Gazab Hai
Is Aas Pe Zinda Hoon Dekhon Tera Sehra

Milne Ke Liye Bhai Ko Be Chain Bari Hai
Kab Se Ali Akbar Ki Wo Rahon Main Khari Hai
Bichri Hai Ye Muddat Se Isay Tu Na Nazar Aa

Gin Gin Ke Jo Sughra Ne Ye Din Hain Guzare
Zinda Hai Tou Akbar Ke Wadon Ke Sahare
Din Raat Tarapti Hai Isay Aur Na Tarpa

Qasid Ko Diya Khat Main Ye Paigham Likha Ke
Ek Bar Tou Mil Ja Mujhe Seenay Se Laga Ke
Pathrayi Hui Nazrein Kab Dekhein Gi Cherha

Sughra Ke Naseebon Main Tou Rona He Likha Hai
Sardar Masooma Ko Mili Kaisi Saza Hai
Khat Aya Na Akbar Ka Bethi Rahi Sughra  

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *