Karbala Aagaye Sadaat
Uthiye Hussain Aap Ke Zawwar Aaye Hai
Zindan Sa Chut Ke Abid e Bemaar Aaye Hai
Bhule Nahi Hai Sham Aur Kufe Ke Raaste
Tarse Huwe Hai Maula Ye Matam Ke Waaste
Sab Kuch Luta Ke Ap Ke Ghamkhar Aaye Hai
Zainab Ne Chalte Naqe Se Khud Ko Gira Diya
Phir Kohniyo Se Chal Ke Gayi Bhai Se Kaha
Hum Log Ho Ke Kuch O Bazaar Aaye Hai
Gardan Pe Aur Jism Pe Zanjeer Ke Nishan
Ek Ek Zakhm Dard Ki Kehta Hai Daastan
Zindan Se Zinda Laut Ke Lachaar Aaye Hai
Jee Khol Kar Yahan Tera Matam Karen Gain Hum
Karbobala Main Majlis e Chehlum Karen Gain Hum
Ayy Maula Sham Wale Azadaar Aaye Hai
Zindan Main Ek Teri Azadar Reh Gayi
Karbobala Na Aayi Na Zindan Se Ghar Gayi
Dafna Ke Usko Abid E Bemaar Aaye Hai
Zindan Main Karke Aaya Hai Majlis Ye Karwan
Sab Bibiyan Thi Matami Zainab Thi Nohakhwan
Mehwa Buka O Deedaye Khoon Baar Aaye Hai
Kaisa Safar Batool Ki Beti Ne Ta Kiya
Dete Nahi They Aseeron Ko Rasta
Ta Kar Ki Sari Manzilein Dushwaar Aayi Hai
Be Dard Thay Wo Sham Aur Kufe Ke Sab Makeen
Tang Hogayi Thi Aal e Mohamed Pe Ye Zameen
Sadaat Hoke Jeene Se Bezaar Aaye Hai
Farhan O Mazhar Abdi Kyun Na Ho Nauhagar
Sajjad Chut Ke Qaid Se Baba Ki Qabr Par
Lekar Nishane Tauq E Garabaar Aaye Hai
