Akbar Ne Di Sada Seenain Mein Hai Naiza
Ghore Sa Gir Raha Hon Baba Sambhalna
Zakhmi Hai Kaleja Hai Waqt Madad Ka
Sukhi Hui Zaban Hai Ghalba Hai Pyaas Ka
Is Haal Main Kahan Talab Karta Bhala Vigah
Majboor Hon Baba Ab Waqt Ye Aaya
Baba Ye Zakhm Aap Se Dekha Na Jaayenga
Naiza Nikalte Hue Muh Apna Pherna
Hai Dard Gazab Ka Dam Hoton Pe Aaya
Han Ye Khabar Khayam Mein Dena Na Baba Jaan
Mar Jaayengi Phuppi Meri Mar Jaayengi Woh Maan
Hai Waqt E Qaza Ka Aajao Khudara
Kya Sakht Imtehaan Hai Maloom Hai Mujhe
Tanha Pisar Ke Laash Ko Kaise Uthaienge
De Aap Ko Khuda Ye Sabr Hausla
Mujh Se Siwa Hai Aap Ki Lachari Padar
Tanha Gaye Hain Aap He Har Ek Laash Par
Hote Agar Chacha Tu Main Nahi Kehta
Pohonchi Agar Sada Meri Sughra Ke Kaan Tak
Haye Roeyngi Is Tarah Bahan Gir Jaayenga Falak
Wo Jee Sakengi Kya Sun Kar Meri Sada
Hota Hon Aap Se Juda Majboor Tishnakam
Baba Qubool Kijiye Ye Aakhri Salam
Ya Shah E Do Sara Ab Hai Safar Mera
Farhan Mazhar Abedi Kaisi Hai Bekasi
Burha Padar Uthaienga Mayyat Jawan Ki
Pohonche Shahe Huda Sun Kar Ye Marsiya
