Aun O Muhammad
Ayy Mere Pyaron Raaj Dulaaro Raazi Hui Maa
Laashon Pe Ye Bachon Ki Sada Deti Thi Madar
Jeete Raho Aun O Muhammad
Kya Jang Lari Piyas Main Zainab Ke Dularo
Ustaad Ko Adaab Karo Ayy Mere Pyaro
Tareef Bohat Karte Hain Abbas Dilawar
Maa Qaraz Utaare Tu Bhala Kaise Utare
Khul Kar Ye Bataate Hain Humain Zakhm Tumhare
Tum Ne Mere Bhai Ke Liye Khaye Hain Pathar
Madar Na Kahegi Ke Koi Kaam Karo Tum
Jaage Hue Raton Ke Ho Aram Karo Tum
Ab Tum ko Jagaaegi Na Mazloom Ki Khaatir
Ayy Dilbarn e Jaffar Tayyar Alvida Alvida
Shimr O Umar Ke Sar Jo Utaaro Tu Khush Hon Main
Dushman Ko Jhoom Jhoom Ke Maro Tu Khush Hon Main
Bhai Ki Taraf Dekh Ke Dam Bhai Ne Toṛa
Kabza Magar Haath Se Shamshir Ka Choṛa
Kya Khoob Hai Andaaz Main Qurbaan Hon Tum Par
Ab Dil Mein Yeh Khwaahish Hai Jo Ghar Laut Ke Jaaoon
Paani Main Sadaa Naam Pe Dono Ke Pilaoon
Are Pyaase Jo Palat Aaye Ho Tum Nahr Pe Jaakar
Ayy Dilbarn E Jaffar Tayyar Alvida Alvida
Bachon Zaeef Maamoo Ko Zahmat Na Dijiyo
Lashein Uthaye Bhai Tu Jumbish Na Kijiyo
Khoon Behta Raha Muh Se Shikayat Nahi Nikli
Bazu Pe Chali Taigh Jigar Par Lagi Barchi
Ro Ro Ke Dua Dete Hain Khud Humza o Jaffar
Mamta Ne Takallum Rakha Jazbaat Pe Kabu
Bhai Ke Liye Rakh Liye Bibi Ne Sab Ansu
Sar Choom Ke Bachon Ke Ye Kehti Rahi Muztar
Ayy Dilbarn E Jaffar Tayyar Alvida Alvida
Ayy Dilbarn E Jaffar Tayyar Alvida Alvida
