Dar e Zindan Pe Koi Masooma - ZIARAT AND Noha Lyrics

Dar e Zindan Pe Koi Masooma

Dar e Zindan Pe Koi Masooma
Parha Karti Hai Ye Ro Kar Noha
Baba Baba Baba Baba

Bohat Dar Mujh Ko Yahan Lagta Hai
Bohat Tanha Hon Chale Aao Na

Khud Aaa Ke Dekh Lo Baba Meri Halat
Nahi Pehchan Paoga Meri Surat
Sahain Bachpan Main Masaib Itne
Zaifah Dikhne Lagi Ye Dukhiya

Bara Dushwaar Hai Is Qaid Main Jeena
Bohat Yad Aa Raha Hai Ap Ka Seena
Gaye Ho Jab Se Nahi Soyi Main
Sukoon Se Ab Tak Kabhi Ik Lamha

Mujhe Phir Qabar Main Lagne Laga Hai Dar
Nikala Tha Jinho Ne Lasha e Asghar
Wo Zalim Phir Se Palat Aye Hain
Phuphi Aur Main Hon Yahan Phir Tanha

Main Raon Le Ke Kab Tak Siskiyan Baba
Bohat Dukhti Hain Meri Pasliya Baba
Sakina Is Dam Hai Kis Halat Main
Fakat Samjhen Gi Ye Dadi Zehra

Nazar Aata Nahi Aankhon Ko Malti Hon
Sahara Le Ke Diwaron Ka Chalti Hon
Pakar Kar Zulfain Mujha Zalim Ne
Na Jane Kaisa Tamancha Mara

Lage Hai Zakham Jitne Sab Dikhaon Gi
Jab Aao Ga Tu Main Sab Kuch Bataon Gi
Bohat Mara Hai Bohat Tarpaya
Mujha Logon Ne Samajh Kar Tanha

Nadeem Us Waqt Khud Zindan Rota Tha
Sakina Jis Ghari Parhti Thi Ye Noha
Mujha Lagta Hai Ke Ab Ghut Ghut Kar
Nikal Jaye Ga Yahin Dam Mera

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *