Dil Chota Mat Karo Wo Bulain Ge Karbala
Mola Hussain Sab Ko Dikhaien Ge Karbala
Sun Kar Areeza Ghazi Ne Paigham Hai Diya
Mola Hussain Sab Ko Dikhayen Ge Karbala
Fehrist Mujh Se Maang Rahe Thy Mere Imam
Likhwa Diye Hain Mola Ko Tum Sab Ke Maine Naam
Baqi Hai Bas Batool Ki Beti Ka Faisla
Ankhein Tumhari Sach Hai Ke Puraab Hain Bohat
Wo Khud Bhi Tumse Milne Ko Betaab Hain Bohat
Ek Bar Dekho Dil Se Tou De Kar Unhein Sada
Ghafil Nahi Kisi Se Bhi Ibn E Abu Turab
Misl E Mujaab Aayega Har Aik Ka Jawab
Labaik Ya Hussain Ki Dete Raho Sada
Jo Reh Gaya Watan Main Usse Kehna Gham Na Kar
Khud Pursa Lene Aayen Ge Shabeer Tere Ghar
Bas Shah Se Ziyarat E Ashoor Mangna
Kehna Tum Uss Se Jis Ne Wasail Ka Tha Kaha
Tera Tou Rizq Shah Ne Kab Ka Barha Diya
Le Aaye Apne Bachon Ko Is Saal Karbala
Farzand E Fatima Ki Bari Bargah Hai
Akbar Ke Baba Jan Ki Sab Par Nigah Hai
Kab Hain Wahan Pe Farq Ameer O Gareeb Ka
Karbobala Jo La Na Saqa Walidain Ko
Wo Janta Nahi Abhi Aaqa Hussain Ko
Roze Pe Unke Aaye Bina Mar Gaye Tou Kya
Jo Matami Jawan Hain Akbar Ke Pursa Daar
Un Sab Ka Khaas Rehta Hai Mola Ko Intezar
Mango Jawano Wasta De Kar Jawan Ka
Paison Se Kon Kehte Hai Jate Hain Karbala
Aata Hai Bas Wo Jisko Bulate Hain Karbala
Jis Jis Ne Bhi Yaqeen Hai Is Baat Par Rakha
Nazdeek Jab Hussain Ki Turbat Ke Jao Ge
Niyat Karo Sakina Ki Ghurbat Sunao Ge
Sunne Ko Apni Ladli Beti Ka Marsiya
Kaise Bayan Ho Sughra Ki Halat Ajeeb Thi
Bimaar Apne Ammu Se Aakar Lipat Gayi
Sughra Se Ye Tasali Main Abbas Ne Kaha
Abbas Is Ki Baat Ka Rakh Lena Tum Bharam
Tere Bharose Chalta Hai Sajjad Ka Qalam
Is Ne Tou De Diya Hai Zamane Ko Aasra
