Paikaan Baras Rahey Hain Taboot Per Hasan Ke

Paikaan Baras Rahey Hain Taboot Per Hasan Ke
Ummat Meeta Rahi Hai Asar Panjetan Kai

Baba Ke Dil Ke Tukray Tunay Ghine Bahattar
Tukray Hazaar Hongay Qasim Tere Badan Ke

Zainab Pukari Bhai Dil Doobta Hai Mera
Ughlo Na Dil Ke Tukray Sadqay Gaye Dahan Ke

Baitun Nabi Se Haye Utha Hai Phir Janaza
Yasrub Ki Bastiyo Me Jhagde Hai Phir Dafan Ke

Do Baar Mil Gaya Hai Tum Ko Kafan Aye Maula
Mohtaj Hi Rahain Gai Shabbir Tou Kafan Kay

Zahra Jahan Giri Thi Lasha Wahan Na Jaye
Phir Zakhm Khul Na Jaye Zair E Kafan Hasan Ke

Qabr E Hasan Pay Us Dum Larza Tha Ek Tari
Saadat Ne Dikhaye Kuch Neel Jab Rasan Ke

Maula Nisar Apni Shamsheer Kyun Uthatay
Jab Ke Woh Janasheen Thay Paighambar E Aman Ke

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *