Zahra Qubool Kijiye Pursa Hussain Ka
Pyase Ka Be Watan Ka Shah E Mashraqain Ka
Jab Mah E Muharram Ne Khabar Gham Ki Suna Di
Rukh Kar Ke Baqaiya Ka Yeh Momin Ny Sada Di
Tashreef Laye Farsh E Aza Sheh Ka Bich Gaya
Mazloom Ky Gham Mein Hui Maghmoom Khudaye
Phir Nam Pe Pyason Ky Sabeelein Hain Lagaye
Ghar Ghar Mein Hai Hussain Ki Ghurbat Ka Tazkira
Har Morh Pe Dharas Jo Raha Bint E Ali Ki
Woh Jis Ki Shahadat Py Kamar Sheh Ki Jhuki Thi
Us Shair Ky Katy Huwe Shanon Ka Wasta
Aaye Jo Madiney Mein Woh Zindaan Sy Palat Kar
Ghar Jany Sy Pehly Gaye Madar Ki Lahad Par
Zainab Ne Maa Ki Qabar Pe Di Pehli Yeh Sada
Ghazi Ko Isi Maa Ny Sikhaiin Thi Wafaein
Beton Ke Liye Bharti Bhala Kaisy Woh Aahein
Noha Tha Yeh Baqaiyyah Mein Ummul Baneen Ka
Pardais Mein Ummat Ne Jise Zakhm Diye Hain
Ek Din Mein Jise Dagh Bahattar Ke Mily Hain
Us Par Salam Jis Ka Bhara Ghar Ujarh Gaya
Jeene Na Diya Us Ko Musalmanon Ny Bibi
Pala Tha Jise Aap Ny Armanon Se Bibi
Haye Rula Rula Ky Usay Zibah Kar Diya Haye
Mazloom Ki Gardan Pe Woh Chalta Huwa Khanjar
Khoon Ko Rulata Hai Takallum Yehi Manzar
Dadi Ki Ujrhi Qabr Py Mahdi Ka Hai Noha
