Samajh Ke Zahra Sataya Gaya Sakina Ko

Samajh Ke Zahra Sataya Gaya Sakina Ko
Qadam Qadam Pe Rulaya Gaya Sakina Ko

Wo Pusht e Naaqa Pe Tanha Ho Taiz Raftari
Sambhalti Kaise Safar Main Hussain Ki Pyari
Giri Nahi Hai Giraya Gaya Sakina Ko

Wo Apna Haal e Yatmi Sunane Aayi Thi
Pidar Ki Lash Se Pathar Hatane Aayi Thi
Laga Ke Dure Hataya Gaya Sakina Ko

Rubab Bain Ye Turbat Pe Ro Ke Karti Thi
Ghareeb Ho Gayi Kitni Hussain Ki Beti
Gali Gali Main Phiraya Gaya Sakina Ko

Tamasha Gir Ne Inaam Kaisa Hai Manga
Tarap Ke Reh Gayi Darbar e Shaam Mein Fizza
Kaneez Keh Ke Bulaya Gaya Sakina Ko

Sar e Hussain Ko Takte The Abid e Muztar
Tarapne Lagti Thi Ghazi Ki Lash Dariya Par
Tamacha Jab Bhi Lagaya Gaya Sakina Ko

Sitamgaron Ki Rawish Ban Gayi Thi Maqtal Se
Kahin Bhi Bichri Safar Main Tu Paas Abid Ke
Pakar Ke Balon Se Laya Gaya Sakina Ko

Hijaab e Ghaib Ka Malik Bhi Dard Rakhta Hai
Uthaye Mashk Takallum Talaash Karta Hai
Kahan Pe Pani Pilaya Gaya Sakina Ko

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *