Apko Mola Qasam Hai

Muntazir Kab Se Hon Par Khulti Nahi Qismat Meri
Zindagi Main Hai Yehi Khwahish Meri Sab Se Bari
Zairon Ke Sath Likh Dain Ab Ke Mera Naam Bhi
Apko Mola Qasam Hai Aap Ke Abbas Ki
Maut Se Pehle Ho Meri Karbala Main Haazri

Wasta Jabir Ka Mola Pehla Zair Jo Bana
Pa Barahna Sar Barahna Qabr e Sarwar Tak Chala
Main Bhi Is Tarah Sa Aao Karbala Kar ke Mashi

Ranj o Gham Se Aur Mushkil Se Nikalain Ya Imam
Apne Dar Par Apne Naukar Ko Bulalayin Ya Imam
Karbala Se Door Reh Kar Bhi Hai Koi Zindagi

Khaak Odha Jis Tarah Aata Hain Zair Sar Ba Sar
Main Bhi Yun Matti Male Aao Wahan Rukhsar Par
Khaak Main Mil Jao Aisa Dhoond Na Paye Koi

Jis Jaga Akbar Ke Seene Par Laga Barchhi Ka Phal
Us Jagah Matam Ho Yun Seene Se Khoon Aaye Nikal
Sath Main Maatam Kare Seene Ke Andar Saans Bhi

Jis Jaga Par Khoon e Dil Ko Mashk Par Wara Gaya
Jis Jaga Ghazi Ke Sar Par Ghurz Tha Mara Gaya
Us Jaga Mujh Ko Ijazat Chahiye Tatbeer Ki

Jis Jaga Khaime Jale Aur Shoor Tha Faryad Ka
Jis Jaga Bistar Jala Tha Syed e Sajjad Ka
Aag Ka Maatam Wahan Karne Ki Khwahish Hai Meri

Zairon Main Shah Ke Main Naam Yun Likhwaon Ga
Bekafan Ke Dais Se Apna Kafan Main Laoonga
Hai Yaqeen Mujh Ko Barhegi Aur Meri Zindagi

Hai Muhammad Shah Aur Saqlain Ki Ye Ilteja
Baar Baar Aqa Humain Bulwaaiye Karb o Bala
Ye Ziyarat Ban Na Jaye Ziyarat Aakhri

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *