Badan Se Nok E Naiza Tak Mera Sar Aa Gaya Amma
Tera Asghar Bhi Akbar Ke Barabar Aa Gaya Amma
Hai Kuch Teer O Sinan Par Aur Kuch Baba Ke Chehray Par
Badan Main Khoon Jitna Tha Wo Bahar Aa Gaya Amma
Para Hai Dasht Main Baba Ke Seene Par Mera Lasha
Ye Dekho Main Sakina Ki Jagah Par Aa Gaya Amma
Galay Par Teer Khaye Chain Se Soya Hua Tha Main
Achanak Qabr Main Naiza Utar Kar Aa Gaya Amma
Bhala Cheh Mah Ka Lasha Koi Pamaal Karta Hai
Meri Janib Bhi Rahwaron Ko Lashkar Aa Gaya Amma
Abhi Baba Ka Sar Zalim Ne Jis Khanjar Se Kaata Tha
Mera Sar Kaatne Bhi Wohi Khanjar Aa Gaya Amma
Batein Aap Ne Ye Raakh Jo Pallu Main Bandhi Hai
Mera Jhoola Bhi Kya Sholon Ki Zad Par Aa Gaya Amma
Sar E Bazar Us Lamhay Bhi Tum Ko Sabr Karna Hai
Jo Meri Sar Ki Janib Koi Pathar Aa Gaya Amma
Ba Roz E Hashr Aye Ahsan Bas Yehi Sunnay Ki Hasrat Hai
Ali Asghar Kahe Mera Sukhanwar Aa Gaya Amma
