Mujhe Bohat Mara

Sakina Kehti Thi Baba Mujhe Bohat Mara
Jahan Bhi Jis Ne Bhi Chaha Mujhe Bohat Maara

Madine Wale Muhammad Ki Main Nawasi Hon
Bataya Jis Ghari Main Fatimaؑ Ki Poti Hon
Jo Naam Dadi Ka Aaya Mujhe Bohat Mara

Ye Dard Hoga Faramosh Na Kabhi Mujh Se
Thay Us Ke Haath Tumhare Lahu Mein Dooba Hua
Ke Jin Se Shimr Ne Baba Mujhe Bohat Mara

Wo Khoon Rota Tha Haalat Ko Dekh Kar Meri
Tamancha Lagte Gaye Main Zaeef Hoti Gayi
Gawah Hai Mera Bhaiya Mujhe Bohat Mara

Yun Apne Bachon Ko Bazaar Main Hansate Rahe
Khushi Ke Waste Un Ki Mujhe Rulaate Rahe
Main Chup Huyi Tu Dobara Mujhe Bohat Mara

Laeen Ne Dala Tha Zulfon Mein Jise Haath Tere
Tumhare Laashe Se Zindan e Shaam Tak Aise
Pakar Ke Baalon Se Baba Mujhe Bohat Mara

Bichhar Gayi Thi Safar Mein Main Oont Se Gir Kar
Talash Khatm Hui Jab Laeen Ki Mujh Par
Uthaya Shimr Ne Darra Na Mujhe Bohat Maara

Lahad Mein Aayengi Dadi Tu Unhein Boloon Gi
Main Char Barson Mein Lagti Hon Aap Jaisi
Hon Main Bhi Pehlu Shikasta Mujhe Bohat Maara

Lahad Behan Ki Jo Mohsin Banayi Abidؑ Ne
Yeh Haal Tha Abhi Mar Jaye Ga Woh Ro Ro Ke
Lahad Se Uthta Tha Noha Mujhe Bohat Maara

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *