Sar Jo Chhay Maah Ke Be Sheer Ka Naize Pe Charha
Nok e Naize Se Ye Asghar Ki Sada Aane Lagi
Badan Se Nok e Neza Tak Mera Sar Aa Gaya Amman
Tera Asghar Bhi Akbar Ke Barabar Aa Gaya Amman
Gale Par Teer Khaye Chain Se Soya Hua Tha Main
Achanak Qabr Mein Neza Utar Kar Aa Gaya Amman
Hai Kuch Teer O Sanan Par Aur Kuch Baba Ke Chehre Par
Badan Mein Khoon Jitna Tha Wo Bahir Aa Gaya Amman
Batayein Aap Ne Ye Raakh Jo Pehlu Mein Bandhi Hai
Mera Jhoola Bhi Kya Sholon Ki Zad Par Aa Gaya Amman
Sar e Bazaar Us Lamhe Bhi Tum Ko Sabr Karna Hai
Mere Sar Ki Taraf Koi Jo Pathar Aa Gaya Amman
Bhula Tum Meri Masooma Behan Ko Kya Batati Ho
Sakina Poochhti Ho Gi Ke Asghar Aa Gaya Amman
Mera Khoon Mein Bhara Kurta Liye Yasrab Chali Jana
Samajh Lena Tumhare Sath Main Ghar Aa Gaya Amman
Baroz e Hashr Ahsan Bas Yahi Sunne Ki Hasrat Hai
Ali Asghar Kahein Mera Sukhanwar Aa Gaya Amman
