Haye Qasim 

Dasht Main Ibne Hassan Par Waqt Kaisa Aagaya
Ek Gathri Main Faqat Qasim Ka Lasha Aagaya

Char Kahndo Par Janaza Ghar Main Aata Hai Magar
Ek He Kahnde Pe Ye Iska Janaza Aagaya

Jis Tarha Chunta Hai Mali Phool Apne Bagh Se
Tukre Yun Qasim Ke Chune Mera Maula Aagaya

Chum Kar Tawiz Sarwar Dair Tak Rote Rahe
Bhai Ke Lafzo Main Jane Yad Kya Kya Aagaya

Aagayi Barat Ran Se Ro Ke Fizza Ne Kaha
Bibi O Tazim Ko Uth Jao Dhula Aagaya

Lash Ko Tartib Jab Dene Laga Zehra Ka Lal
Barha Maula Ki Aakho Main Andhera Aagaya

Baap Ka Tawiz Tha Bete Ke Bazu Par Bandha
Isliye Pechan Main Qasim Ka Lasha Aagaya

Matami Ke Ghar Main Akbar Jab Koi Dhula Bana
Yaad Sab Ko Karbala Wale Ka Sahra Aagaya

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *