Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hai
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hai
Aashoor Ke Din Jis Bibi Ka
Aabad Chaman Barbad Hua
Sab Bhai Bhatije Maare Gaye
Samaan Jala Ghar Bhar Luta
Kuch Bhi Na Bacha Lekin Zainab
Ye Deen Bachane Aayi Hai
Har Khutba Iska Majlis Hai
Har Aansu Iska Maatam Hai
Aashoor Basa Hai Aañkhoñ Main
Aur Dil Main Bahattar Ka Gham Hai
Ye Ahle Aza Se Farsh E Aza
Ghar Ghar Bhijwane Aayi Hai
Hum Par Patthar Barsate Ho
Haste Ho Jashn Manate Ho
Sayad Ka Khoon Bahate Ho
Aur Baghi Baghi Kehte Ho
Shabbir Tu Pak Namazi Hai
Ye Tum Ko Batane Aayi Hai
Konain Ki Malka Ki Beti
Wo Sharm O Haya Ki Shahzadi
Haye Shaam E Ghareebañ Main Jiski
Chadar Cheeni Thi Wo Bibi
Duniya Ki Maañ O Bahno Ko
Parda Sikhlane Aayi Hai
Jisne Bhai Ki Gardan Par
Chalte Huye Khanjar Dekha Tha
Na Chupne Doongi Khoon Tera
Shabbir Se Kiska Wada Tha
Wo Zainab Shaam Main Bhai Ka
Matam Karwane Aayi Hai
Sarwar Jab Baad Riha Hokar
Jab Aayi Karbobala Muztar
Haye! Peet Ke Sar Maatam Kar Kar
Chillayi Bhai Ki Turbat Par
Uth Bhai Hussain Tera Chehallum
Teri Bahan Manane Aayi Hai
