Haye Sadat Ne Is Daihr main Kya kya Dekha
Apni Ankho Ko Sada Khoon He Rota Dekha
Jis Ghara Ne Ne Sada Logo ko Khushiya Baanti
Unko Khushiya Na Mili Ghum He Ziyada Dekha
Wo Mohammad Ke Jo Rehmat Hai Zamane Ke Liye
Unki Nalain Ko Bhi Khoon Maon Duba Dekha
Sabz Gumbad K Karib Markaze Zehra Hai Magar
Baap Ne Beti Ki Turbat Pe Na Saya Dekha
Rotiya Mang Ke Jis Dar Se Farishte Jaaye
Eid Ke Roz Bhi Un Bachcho Ka Faka Dekha
Wo Taqi Ho Ke Naqi Musa e Kazim Ya Raza
Sakhtiya Qaid Ki Aur Zehr Ka Piyala Dekha
Pust Pe Jis ko Bithate The Rasool e Akram
Us Nawase He Ka Sar Barsare Naiza Dekha
Jis Ke Bazu The Rida Zainab o Kubra Ke Liye
Kaise Bibi Ne Use Bazu Burida Dekha
Subh e Ashoor Dhali Sham e Gariba Aayi
Char Pehro Main Qayamat Ko Guzarta Dekha
Gir Gayi Khak Pe Ghas Kha Ke Ali Ki Beti
Pucha Sugra Ne Ke Pardes Main Kya Kya Dekha
Ro Diye Sarwar o Rehan Jigar Tham Ke Hum
Jab Aza Khane Main Rakhkha Hua Jhula Dekha
