Mein Ye Nahi Kehti Ke Amaari Main Bitha Do

Baba Mujha Fiza Ki Sawari Main Bitha Do
Mein Ye Nahi Kehti Ke Amaari Main Bitha Do

Sab Bethe Sawari Pe Main Pedal He Chalungi
Wada Hai Kisi Ko Koyi Taklif Na Dungi
Ama Sa Hargiz Na Kahun Gi Ke Dawa Do

Palko Se Main Saya Ali Asghar Ke Karungi
Amaa Ki Sawari Se Bahot Dur Rahungi
Hank Eh Ke Meri Zist Ke Kuch Rooz Barha Do

Main Pani Pilawungi Sawaari Ko Tumhari
Behlawungi Raste Main Sakina Ko Tumhari
Jo Kam Kaneezon Ke Hai Sb Mujh Ko Bata Do

Sab Nazre Churaate Hai Koi Dam Nahi Bharta
Sach Hai Koi Murde Se Muhabbat Nahi Karta
Baba Tokeer meri ye hai tu marne ki dua do

Kya Guzrengi Jab Ghar se Chale Jayenge Akbar
Kaise Mujha Har Baat Main Yaad Ayenge Akbar
Kab Aye Gain Lene Mujha Bhaiya Ye Bata Do

Ha Apni Muhabbat Ka Main Izhaar Tu Karlu
Thehro Ali Asghar Ko Zaraa Pyare Tu Karlu
Naka Sa Jhulak Nanhe Musaffer Ki Dikha Do

Rehan Wo Beemar Thak Hark Ke Boli
Sarwar E Zeeshan Tamana Hai Ye Meri
Jate Ho Tu Turabt Meri Tum Khud He Bana Do

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *