Mazloom E Karbala Ki Azadar Aa Gai

Ghairat E Mustafa Be Rida Aa Gai
Binte Shair E Khuda Be Rida Aa Gai
Mazloom E Karbala Ki Azadar Aa Gai
Zainab Barehna Sar Jo Bazar Aa Gai

Talwar Ke Beghair Larun Gi Main Aisi Jang
Khutbe Parhun Gi Aise Ke Dushman Bhi Hoon Ge Dang
Dekho Hussain Tum Bhi Humare Jahad Ko
Zainab Hai Aj Ban Ke Alamdar Aa Gai

Zainab Ne Zindagi Mein Na Dekhi Koi Khushi
Roti Hui Wo Sham Ki Raaho Mein Mar Gai
Tanha Lehad Mein Bhai Ko Rone Ke Wastay
Sarkar E Panjtan Ki Wo Ghamkhuwar Aa Gai

Jis Dam Utha Ye Shor Ke Pyase Ko Mar Lo
Jaldi Karo Nabi Ke Nawase Ko Mar Lo
Sun Kar Ye Shor Dhoondhti Tanha Hussain Ko
Maqtal Mein Binte Haider E Karrar Aa Gai

Chehlum Ko Karbala Mein Jo Pohancha Tha Qafila
Zainab Ne Keh Ke Naqay Se Khud Ko Giraya Tha
Badle Chuka Ke Baba Ke Sare Mere Hussain
Chehlum Manane Aap Ki Zawwar Aa Gai

Mehshar Ke Roz Aaye Gi Jab Naiab E Batool
Tanveer Ye Kahein Ge Khuda Se Mere Rasool
Zinda Rakhe Hain Jis Ne Irade Hussain Ke
Ya Rab Wo Mere Deen Ki Madadgar Aa Gai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *