Karbala Chalo

Karbala Chalo Karbala Chalo
Lo Aagaya Bulawa Mazloom E Karbala Ka

Maa Muntazir Hai Bete Ke Ghumkhaar Aayein Ge
Aakar Mere Hussain Pe Aansu Bahayein Ge
Binte Rasool Takti Hai Tum Sab Ka Raasta

Zahra Ka Laal Qabr Mein Hasrat Ye Le Gaya
Akbar Ka Kalma Goyo Ne Pursa Nhi Diya
Ab Sheh Ko Pursa Dena Hai Kariyal Jawaan Ka

Jee Bhar Ke Apne Bhai Ko Zainab Na Ro Saki
Majlis Zameen E Karbobala Par Na Ho Saki
Armaan E Syeda Main Bichane Saf E Aza

Khanjar Tale Hussain Ki Aahein Gawah Hai
Halmin Mugheesuna Ki Sadaein Gawah Hai
Kab Se Humein Bulata Hai Zahra Ka Laadla

Jis Khaak Ne Chupaya Tha Binte Ali Ka Sar
Jis Ne Kafan Banaya Tha Laash E Hussain Par
Us Karbala Ki Khaak Ka Karne Ko Shukriya

Baazu Kata Ke Jis Jaga Abbas So Gaye
Armaan Bawafa Ke Jahan Dafn Hogaye
Aansu Wahan Giraein Ge Paani Jahan Gira

Qismat Se Waqt Aayega Jab Ye Hayat Mein
Tum Apni Betiyon Ko Bhi Le Jana Saath Main
Akbar Ko Wo Sunayein Gi Sughra Ka Marsiya

Ek Saal Baad Bhai Ka Sar Jis Ghari Mila
Abid Se Ro Ke Kehti Thi Ye Binte Syeda
Dafnaun Gi Main Hathon Se Sar Apne Bhai Ka

Chehlum Bhi Apne Baap Ka Bachi Na Kar Saki
Roti Hui Wo Shaam Ke Zindan Main Mar Gayi
Aye Kaash Koi Keh De Sakina Se Ye Zara

Is Saal Arbaeen Pe Aisa Ho Ehtemaam
Aye Kash Zairon Mein Ho Shamil Humara Naam
Aur Dein Humein Bhi Hazrat E Abbas Ye Sada

Ghurbat Musafiron Ki Musafir Samajh Sakein
Kaise Chali Thi Bibiyan Andaza Ho Humein
Aansu Bahate Shehr E Najaf Se Piya Da Paa

Chehlum Pe Jaise Aati Hai Zainab Bhi Shaam Se
Izn E Safar Mile Jo Takallum Imaam Se
Har Ek Qadam Zahoor Ki Karte Hue Dua

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *