72 Taboot

Shaheedon Ke Hain Ye Janaze
Ghareebon Ke Hain Ye Janaze
Azadaron Aao Mil Kar Uthao
72 Ke Taboot Hain
Tum Aashoor Ka Din Tasawwur Mein Laao

72 Ka Ek Din Mein Farzand E Zehra
Janaze Utha Kar Akele Hi Laya
Bari Bebasi Se Har Ek Simt Dekha
Nahi Tha Koi Bhi Madad Karne Wala
Tum Aashoor Ka Din Tasawur Mein Laao

Hua Jinka Maqtal Mein Pamaal Laasha
Kahin Par Badan The Kahi’n Unka Sar Tha
Wo Jinko Kafan Bhi Mayassar Na Aya
Nahi Tha Janazon Pe Un Sab Ke Saya
Rakho Phool In Par Kafan Tum Urhao

Burair O Zuhair Aur Hur Wahab E Qalbi
Hain Jaun Aur Aabis Ke Jaise Sipahi
Saeed Aur Shozab Habib E Hussaini
Wo Asghar Hon Qasim Hon Akbar Ya Ghazi
Hum Inke Hain Waris Jahan Ko Batao

Hain Inme Sabhi Syeda Ke Dulare
Jinhe Bawafa Bhai Keh Kar Pukare
Sabhi The Hussain Ibne Haidar Ke Pyare
Alam Ke Hi Saye Mein Rehte The Sare
Tum Inn Par Alam Ka Pharehra Bichhao

Ek Aisa Ho Taboot Jis Par Ho Sehra
Uthe Ek Taboot Gathri Ke Jaisa
Ho Taboot Ke Sath Nanha Sa Jhoola
Magar Hai Jo Taboot Rab E Wafa Ka
Sakina Ka Mashkiza Us Par Sajaao

Ab Is Silsile Ko Hai Aage Barhana
Jab Aao Tu Bachchon Ko Humraah Lana
Unhe Ye Adab Aur Saliqa Sikhana
Wirasat Ye Naslon Ko Tum Saunp Jana
Jo Zehra Se Wada Kia Wo Nibhao

Ye Azlan O Mesum Jahan Ko Batana
Shah E Deen Ko In Sab Ne Tanha Na Chhora
Hum Inko Bhi Hone Nahi Denge Tanha
Duaein Hamain Dengi Khud Bibi Zehra
Dilon Ki Muradain Yahan Aake Paao

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *