Bekas Pe Rone Walon Ka Hadiya Qubool Ho
Ya Fatima Se Hussain Ka Pursa Qubool Ho
Ya Fatima Zahra
Saf e Gham Bichha Kar Yeh Maangi Dua
Bibi Se Qubool Karin
Ye Majlis Ye Matam Ye Ashk e Aza
Gham Shah Mein Sab Kuch Lutaate Rahe
Ghareebi Mein Bhi Gham Manate Rahe
Hain Aise Bhi Tang Dast Ahl e Aza
Tabarruk Mein Paani Pilate Rahe
Tabarruk Jo Banta Tu Bas Yeh Kaha
Bichhaya Hai Jab Ghar Mein Farsh e Aza
Sajaya Aza Khana Shabbir Ka
Alam Nasb Karte Hue Meri Maa
Bahaati Thi Aankhon Se Ashk-E-Aza
Aur Us Ke Labon Par Thi Bas Ek Sada
Salamat Rahein Purmagan Maatami
Kamaan Zan Ye Zanjeer Zan Maatami
Kabhi Khaak Urate Hain Rote Hue
Yeh Kehte Hain Khooni Badan Maatami
Lahu Ka Yeh Pursa Jo Hum Ne Diya
Ye Hai Ishq e Shabbir Ki Ek Daleel
Sajayein Alam Ya Banayein Sabeel
Sabeelon Pe Likh Kar Sakina Ka Naam
Aqeedat Ko Karte Hain Apna Wakeel
Pilate Hain Paani Yeh Kar Ke Dua
Ye Soz O Salaam Aur Ye Marsiya
Ye Seena Zani Aur Aah O Buka
Masaib Ka Izhar Karte Hue
Luta Ghar Ka Bibi Ko Pursa Diya
Ye Jumla Hamesha Labon Par Raha
Shabeeh e Alam Aur Taboot Par
Kabhi Zuljanah Pe Hue Noha Gar
Kisi Haal Mein Bhi Hoon Ahl e Aza
Na Rukne Diya Majlison Ka Safar
Nahi Kar Sake Haq e Girya Ada
Wo Molaai Maain Hain Ek Saaya Ban
Mile Jinki Aaghosh Mein Noha Khwaan
Jo Bachon Ko Saqqa Banati Rahein
Sajaye Hue Ba Wafa Ka Nishaan
Ye Unki Aqeedat Ke Tarz e Wafa
Wo Pur Gham Azadar Woh Maatami
Nahi Ja Sake Karbala Jo Kabhi
Baqa Char Logon Mein Ki Majlisein
Imam Zamana Se Faryaad Ki
Yeh Zikr Shahenshah e Karbobala
Yeh Koshish Hai Maisam Ki Mazhar Kaho
Koi Ek Noha Tu Aisa Bhi Ho
Na Ho Jisme Shoharat Ki Khwahish Zara
Kabhi Aisi Khalis Ibadat Bhi Ho
Utha Kar Kahin Sab He Dast e Dua
