Darbar Main Ye Kehti Thi Zahra Ki Ladli

Darbar Main Ye Kehti Thi Zahra Ki Ladli
Mat Maar Tu Labon Pa Mere Bhai Ke Chari
Zalim Hai Hath Jor Ke Ye Iltija Meri

Jis Din Se Hum Aseer Hain Maa Sath Sath Hai
Chehre Pa Ab Hussain Ke Amma Ka Hath Hai
Zahra Sar E Hussain Se Lipti Hai Is Ghari

Jalti Zameen Pa Fatima Ke Dil Ke Chain Ko
Ye Zibha Hote Dekh Chuki Hai Hussain Ko
Mazloom Ki Hai Samne Beti Khari Hui

Ik Baar Bas Aseer Saro Par Nigah Kar
Ghazi Tarapta Hai Tere Har Aik Waar Par
Tarpa Raha Hai Kyun Usay Marne Ke Baad Bhi

Zulm O Sitam Se Tera Agar Dil Nahi Bhara
Le Khwahar E Hussain Se Badla Hussain Ka
De Le Kuch Aur Mujh Ko Saza Taziyano Ki

Zulfein Pakar Ke Pusht Se Kata Gaya Ye Sar
Khooli Ke Ghar Tandoor Main Rakha Gaya Ye Sar
Aisi Bhi Kya Nabi Ke Nawase Se Dushmani

Pehle He Sar Hussain Ka Zakhmi Hai Dekh Le
Hum Se Zyada Wo Sar E Shabbir Ne Sahe
Bazar Main Jo Barse Thy Pathar Abhi Abhi

Is Sar Se Aik Baal Bhi Toota Kabhi Agar
Maa Raat Bhar Tarapti Thi Pehlu Main Beth Kar
Zalim Chala Na Qalb Pe Amma Ke Phir Churi

Binte Ali Ka Mir Takallum Tha Ye Bayan
Ab Aur Le Na Meri Khamoshi Ka Imtehan
Ye Lab Hile Tou Hogi Qayamat Bapa Abhi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *