Kiya Howa Bazar Main Abid Jo Borha Hogaya

Kiya Howa Bazar Main Abid Jo Borha Hogaya
Tan Pe Kariyan Reh Gayi Hain Jism Ada Hogaya

Ik Jaga Hi Pusht e Abid Pe Gaya Mara Bara
Kuch Kabal Hi Neel Tha Ab Zakhm Gehra Hogaya

Har Tamache Pe Sakina Ne Kaha Bhai Se Yeh
Pouchiye Zalim Se Bhai Zulm Pura Hogaya

Berida Zainab Ko Dekha Ro Pary Abid Laho
Majma E Agieyar Q Na Haye Andha Hogaya

Chahta Hai Koi Akr Bhai Isko Bolde
Bad Akbar K Yh Abid Itna Tanha Hogaya

Sar Khula Ghazi Ka Itna Na Ruka Naize Pe Wo
Jo Galy Me Tha Wo Sar Se Par Naiza Hogaya

John Main Ne Jab Likha Hai Nam E Zainab Or Sham
Ashk Ankhon Se Giray Hain Or Pursa Hogaya

Poet: Jon Shah

Soz: Rizwan Haider

Matami Sangat: Anjuman Hussainia Rana Sadar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *