Pehla Sajda Bagair Chadar Ke

Aj Zainab Kare Gi Maqtal Main Pehla Sajda Bagair Chadar Ke
Roshni Aur Hawa Ne Bhi Jis Ka Sar Na Dekha Bagair Chadar Ke

Jisko Dafna Nhi Saki Zainab Be Kafan Tha Jo Dasht E Gurbat Main
Apne Bhai Hussain Ka Us Ne Ghum Manaya Bagair Chadar Ke

Wo Jo Uski Rida Ka Zamin Tha Uske Naksh E Qadam Mitata Tha
Kaise Guzre Gi Uske Laashe Se Binte Zahra Bagair Chadar Ke

Jis Ka Quran Chehra Parhta Tha Sirf Ayaat Dekhti Thi Jisay
Aj Dekhe Ge Usko Galiyon Main Ahle Kufa Bagair Chadar Ke

Tum Se Zainab Na Hum Kalam Hui Meri Awaz Na Suni Tum Ne
Aao Baba Sunaon Main Tum Ko Aj Khutba Bagair Chadar Ke

Dono Khutbon Ne Khoon Rulaya Hai Qabr Main Bhi Khuda Ki Ghairat
Aik Lasha Tha Be Kafan Ran Main Ik Janaza Bagair Chadar Ke

Kaise Un Chadaron Ke Maqtal Main Teen Din Khari Rahi Zainab
Jis Jagah Mout Se Bhi Mushkil Tha Aik Lamha Bagair Chadar Ke

Jo Bhi Parde Ko Rone Wali Hai Wasta Unko Bibi Zainab Ka
Binte Zahra Ki Pak Chadar Ko Tum Na Rona Bagair Chadar Ke

Khaak Baalon Pe Baal Chehre Par Aur Ankhon Se Ashk Jari Hain
Qaid Khane Main Aise Zainab Ka Saal Guzra Bagair Chadar Ke

Uska Parda Tha Zindagi Uski Saans Usko Rida Se Milti Thi
Hai Qayamat Faraz Zainab Ka Zinda Rehna Bagair Chadar Ke

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *