Ek Samt Haram Hai Ghazi Ka Ek Samt Hai Haram e Hussain
Ayy Bibi Kaash Tera Roza Hota Bain ul Haramain
Ek Ja Par Bhai Behan Rehtay Karte Na Bichar Kar Bain
Ayy Bibi Kaash Tera Roza Hota Bain ul Haramain
Ayy Bint e Ali Ayy Khuwahar e Hasnain
Tu Sharam O Haya Ki Malka Hai
Phirwaya Tujhe Un Galiyon Mein
Jis Ja Na Kabhi Jati Teri Izzat Wali Nailain
Wo Jis Ke Liye Tu Shaam Gayi Gar Us Ki Qabr Yahin Hoti
Tujh Ko Bhi Qarar Aa Jata Aur Bhai Ko Bhi Milta Chain
Marqad Mein Tujhe Jab Tarta Akbar Ke Bichharne Ka Sadma
Abbas Dilasa De Dete Aur Poochhte Ashk Hussain
Ashoor Ki Yadon Se Bibi Dil Tera Kabhi Jo Ghabrata
Asghar Ko Saath Sula Leti Aa Jata Dil Ko Chain
Wo Bete Jinhein Tu Ro Na Saki Shabbir Ka Matam Karti Rahi
Karbala Mein Saath Tera Hote Woh Teray Noor e Ain
Ashoor Aur Chehlum Karne Ko, Milon Ki Masafat Tay Kar Ke
Tu Shaam Se Na Aati Bibi Karne Ko Yahan Per Bain
Qurbaan Teri Mazloomi Par Farhan Bhi Hai Aur Mazhar Bhi
Ek Hum He Nahi Kehte Bibi Kehte Hain Yehi Hasnain
