Tu Be Kafan Hai Hussain

Tu Be kafan Hai Hussain
Behen Berida Hain

Aayi Thi Madine Se Lekar Main Apna Bhara Ghar Bhai
Logon Ne Mera Ghar Lut Liya Bas Paas Rahi Tanhayi
Yaha Tishna Lab Tu Hua Bain Behen Berida Hain

Pani Se Tujhe Mehroom Rakha Aur Mujhko Tere Matam Se
Tukde Hain Kaleja Zainab Ka Aye Bhai Fakat Is Gam Se
Sina Par Tera Sar Rakha Hain Behen Berida Hain

Tu Mere Liye Faryad Kare Main Tere Liye Aye Bhai
Mazlum Musaafir Teri Behen Baagi Ki Behen Kehlayi
Ye Gam Sitam Se Bada Hai Behen Berida Hain

Lashe Se Tere Aati Hain Sada Sunti Hain Behen Majaye
Ayy Kaash Koi Tadbeer Bane Aur Zainab Shaam Na Jaye
Aseer E Rasan Kafla Hai Behen Berida Hain

Main Qaidi Bani Aur Shaam Chali, Mehmil Na Amaari Ayi
Zainab Ke Liye Hain Sab Se Bada Gam Tujhse Bichadna Bhai
Tujhe Yehi Gam Kha Gaya Hai Behen Berida Hain

Amma Ki Sada Ye Aati Hain Kyu Lut Liya Pyaase Ko
Sar Tera Badan Se Kaat Liye Aur Pamaal Kiya Laashe Ko
Qateel e Jafa Tu Hua Hain Behen Berida Hain

Hain Kaan Sakina Ke Zakhmi Abid Ka Mukaddar Bedi
Naize Pe Shaheedon Ke Sar Hain Sadat Bane Hain Qaidi
Abhi Shaam Ka Marhala Hain Behen Berida Hain

Ghar Tera Qareeb e Asr Luta Main Shaam E Alam Me Luti
Khoon Tera Baha Bejurm O Khata Hamsheer Is Gam Me Ujdi
Tere Khoon Se Yeh Wafa Hai Behen Berida Hain

Ta Umr Padhege Yeh Nauha Farhan Aur Mazhar Rokar
Zainab Ke Baradar Ke Markad Par Humne Suna Hain Aksar
Shah E Di Ka Yeh Marsiya Hain Behen Berida Hain

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *