Sham E Ghareeba Ki Jagi Hui Hon

Sham E Ghareeba Ki Jagi Hui Hon Main Soi Kahan
Khaye Tamache Main Royi Jahan

Jis Din Se Baba Gaye Chod Kar
Jis Din Se Daag E Yatimi Mila
Kya Kya Masaib Mile Hai Mujhe
Kaise Batau Tumhe Aai Chacha
Daman Jala Chin Gi Hai Rida Chin Gai Balian

Kaise Bayan Main Karu Apne Gam
Bus Dil Pe Sub Zakhm Ghehre Lage
Yeh Jism Hi Sirf Qaidi Nahi,
Meri Fuga Par Bhi Pehre Laga
Chup Chup Ke Roie, Ghut Ghut Ke Karti Rahi Hun Fuga

Maqtal Ki Jalti Hui Reet Par
Roti Thi Zer E Alam Baith Kar
Bus Aap Ke Gam Me Mere Chacha
Rehti Thi Din Raat Main Nauha Gar
Baad Aap Ke Is Yatima Ne Jheli Hai Kya Sakhtiyan

Shame Gariba Haweda Huie
Charon Taraf Teergi Cha Gai
Koi Muhafiz Na Jub Reh Gaya
Fauj E Sitam Loot Ne Aagai
Kya Kaya Masaib Uthaie Hai Maine Karu Kya Bayan

Gyarah Moharram Ki Aaie Sahar
Qaidi Bani Mai Rasan Pahan Kar
Bazu Bandhe Subke Mera Gala
Panjo Pe Chal Ke Kiya Who Safar
Karbal Se Kufa Ya Kufa Se Musal Ki Wo Wadiyan

Rahanon Main Yeh Saneha Bhi Hua
Main Chut Gai Kafele Se Chacha
Tab Dadi Zehra Wahan Aa Gai,
Kuch Dair Mujhko Sukon Mil Gaya
Dil Tham Kar Woh Bhi Rone Lagi Jub Suni Yeh Fuga

Manga Kanizi Main Jis Dum Mujhe
Dam Mera Had Se Siwa Ho Gya
Dil Mera Yeh Kehke Rone Laga
Aai Kash Is Wakt Hote Chacha
Ye Zulm Us Par Jo Aashur Se Kar Rahi Hai Fuga

Farhan O Mazhar Fuga Kam Na Ho
Patthar Hai Woh Aankh Jo Nam Na Ho
Farshe Aza Pe Yeh Mumkin Nahi
Zikre Sakina Ho Matam Naho
Socho Agar Tu Mukammal Hai Nauha Ye Jumla Yahan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *