Chal Sakina Chale Karbala

Chal Sakina Chale Karbala
Saath Baba Ke Rehna Sada

Mujh Se Bichdi To Soyi Nahi Meri Jaan
Ek Ek Saans Tum Par Thi Kohe Garan
Aur Us Par Sitam Qaid Ki Sakhtiyan
Teri Aaho Buka Par Bhi Pabandiyan
Is Liye Kar Raha Hoo Buka

Hai Yahan Sirf Tanhai Taarekiyan
Ye Ghutan Aur Taqdeer Ki Bediyan
Chahne Wale Tere Tu Sab Hai Wahan
Chain Aata Hai Apnon Ke He Darmiyan
Chor Kar Ab Ye Shehr e Jafa

Yaad Karta Hai Asghar Tujhe Meri Jaan
Tujhko Awaaz Deta Hai Wo Bezaban
Wo Wahan Reh Gaya Aagayi Tu Yahan
Wo Wahan Nohakhwan Tu Yahan Nohakhwan
Chain Dono Ko Aa Jayega

Saath Apne Tujhe Leke Jaaunga Main
Tere Ammu Se Tujh Ko Milaunga Main
Haa Tujhe Baliyan Bhi Pinaunga Main
Apne Seene Pe Tujh ko Sulaunga Main
Hai Wahan Par Jahan Ek Naya

Ab Na Talwaar O Naiza Hai Na Teer Hai
Karbala Ab Tu Ghazi Ki Jageer Hai
Tere Baba Ke Khwabon Ki Tabeer Hai
Ek Aagosh Hai Jis Main Besheer Hai
Dil Ye Tera Behel Jayega

Shaam Se Muqtalif Hai Wahan Ki Faza
Kaun Tujh Par Wahan Ab Karega Jafa
Tera Akbar Bhi Hai Aur Tere Chacha
Sare Pehron Se Azad Hai Alqama
Ab Tu Pani Bhi Mil Jayega

Zakhm Saare Jigar Ke Dikhane Chalo
Apne Dukhde Chacha Ko Sunane Chalo
Jo Sitam Tum Ne Jhele Batane Chalo
Khaake Karbal Ko Marham Banane Chalo
Saare Zakhmon Ki Lene Dawa

Yun Tu Har Roz Farhan O Mazhar Yuhin
Baap Se Beti Milti Thi Khwabon Main He
Zindagi Ka Yehi Khwaab Tha Aakhri
Yun Laga Saath Baba Ke Wo Laadli
Chal Basi Sun Ke Bas Ye Sada

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *