Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale

Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Tum Door Kar Do Aakar Abbas Gham Hamare

Tum Baab e Hawaij Ho Zainab ka sahaara ho
Ho Fazl O Karam Hum Pe Tum Fazl Ke Baba Ho
Hum Kis Se Madad Mange Koi Nahi Hamara
Bas Jee Rahain Hain Maula Hum Aap Ke Sahare

Milne Ke Liye Aaun Hasrat Hai Mere Dil Ki
Na Rasta Aasan Hai Na Zaad e Safar Koi
Mushkil Ye Meri Hal Ho Mushkil Kusha Ke Bete
Aa Jayein Jald Hum Bhi Darbaar Mein Tumhare

Jab Ghar Main Aza Khana Ro Ro Ke Sajate Hain
Ye Kehte Hue Momin Hathon Ko Uthate Hain
Zahra Ki Dua Ho Tum Sun Lo Dua Hamari
Aa Jao Mere Ghar Bhi Ummul Baneen Ke Pyare

Matam Ki Qasam Maula Seene Ka Sukoon Tum Ho
Ayy Qamar e Bani Hashim Ab Chain Mile Dil Ko
Us Baali Sakina Ki Ghurbat Ka Wasta Hai
Kaanon Se Jiske Cheene Zaalim Ne Goshwaare

Andaaz e Wafa Daari Duniya Ko Sikhaate Hain
Wo Haath Rahein Baaqi Parcham Jo Uthate Hain
Main Wasta Us Pal Ka Deta Hon Tumko Maula
Kat Kar Gire The Baazu Jab Naher Ke Kinare

Jo Godiyaa Khaali Hain Ab Jald Unhain Bhar Do
Us Maa Ke Waseelay Se Aulaad Ata Kar Do
Jhoole Se Lipat Kar Jo Kehti Thi Mere Asghar
Tum Bin Rubab Kaise Ab Zindagi Guzaare

Beemar Shifa Payein Ho Jaayein Riha Qaidi
Sajjad Ki Ghurbat Ki Hai Tumko Qasam Ghazi
Aabaad Rahe Sar Pe Saaya Tere Alam Ka
Farsh e Aza Par Aa Kar Ro Ro Ke Dil Pukare

Zeeshan O Raza Kyun Na Fariyaad Karein Tum Se
Jab Zarbayin Lagein Tera Shabbir Ki Gardan Pe
Har Zarb Pe Maula Ne Ro Kar Tumhein Pukaara
Manzar Woh Yaad Karke Rote Hain Gham Ke Maare

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *