Jab Chali Lut Ke Aseeri Ke Safar Par Zainab
Jhirkiyaan Khati Rasan Basta Khulay Sar Zainab
Lab e Dariya Pe Jo Pohanchi Tu Qayamat Aayi
Gir Pari Lashay Pe Ghazi Ke Ye Keh Kar Zainab
Mujh Ko Ghurbat Ye Agar Din Na Dikhati Abbas
Yeh Behan Khaimay Se Maqtal Main Na Aati Abbas
Hukam e Sajjad Muqaddam Tha Tu Bahir Aayi
Warna Mumkin Na Tha Parday Se Nikalna Bhai
Chahe Jalte Huye Khaimay Mein Qaza Aa Jati
Samne Sham Ke Logon Ke Na Aati Abbas
Lab e Dariya Tere Bazu Jo Qalam Na Hote
Youn Rida Chinti Na Ghurbat Mein Behan Ke Sar Se
Kash Hote Jo Tere Hath Behan Ke Sar Par
Apna Sar Khak Se Main Youn Na Chupati Abbas
Mera Gham Our Barhane Ke Liye Laye Hai
Tere Lasha Pe Rulanay Ke Liye Laye Hai
Sham Wale Jo Na Youn Late Rasan Basta Mujhe
Haal Main Apni Rida Ka Na Sunati Abbas
Zeen Se Ho Ke Tu Be Dast Gira Tha Jaisa
Chalte Naqa Se Main Maqtal Mein Giri Hoon Aisa
Paas e Gardan Mere Bazu Jo Bandha Na Hote
Youn Tere Lasha Pe Khud Ko Na Girati Abbas
Aik Rasi Mein Sabhi Qaidi Bandha Hain Aisa
Maaon Ke Hathoon Ke Neecha Hain Gale Bachon Ke
Choti Zahra Ka Bhi Rasi Main Gala Hai Warna
Tere Lasha Pe Sakina Ko Na Lati Abbas
Mujh Ko Ghar Mein Bhi Na Dekha Tha Khule Sar Tu Ne
Mere Saye Ko Bhi Rakha Tha Chupa Kar Tu Ne
Aaj Ghairon Se Rida Mang Ke Roti Hai Behan
Tu Jo Hota Tu Ye Sadma Na Uthati Abbas
Rah Se Bheer Ko Logon Ki Hatane Wala
Aaj Koi Nahi Mehmal Main Bithane Wala
Mera Sajjad Bhi Paband e Rasan Hai Warna
Thokarain Khati Hui Sham Na Jati Abbas
Tha Sahaab Our Raza Kaisa Wo Gham Ka Manzar
Uthi Abbas Ke Lashe Se Behan Ye Keh Kar
Sabar Karti Hon Mashiyaat Pe Khuda Ki Warna
Tere Maqtal Se Main Zindah Tu Na Jati Abbas
