Aye Hur Jawan Ka Lasha

Aye Hur Jawan Ka Lasha Uthana Mushkil Hai
Pisar Ke Seene Se Barchi Churana Mushkil Hai

Dil e Pidar Ki Jo Halat Hai Hur Samajhta Hon
Tumhare Sabar Ki Lekin Main Dad Deta Hon
Ke Jaise Tum Yahan Aaye Ho Aana Mushkil Hai

Jo Haal Hona Hai Qasim Ka Us Ka Haal Na Ho
Ke Tere Laal Ki Mayyat Tu Paaimaal Na Ho
Main Janta Hon Ke Tukre Uthana Mushkil Hai

Hussain Kehte The Ro Kar Ye Hur Ke Bete Se
Samajh Raha Hon Aziyyat Teri Mere Bache
Bareeda Halaq Se Yun Muskarana Mushkil Hai

Pukaara Hur Ka Pisar Ro Ke Ay Shah e Ismat
Salam Ke Liye Uthane Ki Bhi Nahin Himmat
Ke Pyase Honton Se Maula Bulana Mushkil Hai

Ghareeb Baap Ka Ye Imtihaan Nahin Longa
Tumhaare Laal Ko Kandhon Pe Main Uthaonga
Utha Ke Laash Ko Khaimon Main Jaana Mushkil Hai

Ye Waqt Kaisa Hai Tum Ko Khabar Nahin Bhai
Tumhare Sath Tumhaari Behan Nahin Aayi
Jigar Ka Zakhm Phuphi Ko Dikhana Mushkil Hai

Tumhaari Zauja Ko Zainab Sambhaalti Bhaiya
Ajeeb Waqt Hai Maa Ko Batayenga Adaa
Jo Baap Ke Liye Maa Ko Batana Mushkil Hai

Yun Zard Chehra Hai Jaise Ke Jaan Nikalti Hai
Main Dekhta Hon Kamar Teri Jhukti Jaati Hai
Tere Liye Ye Shahadat Bhulaana Mushkil Hai

Sadayein Aati Thin Akbar Ye Hur Ke Laashe Se
Akele Laasha e Akbar Uthaoge Kaise
Kaha Tha Aap Ne Mayyat Uthana Mushkil Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *