Sattar Qadam Ka Faisla Bhai Behan Mein Tha

Sattar Qadam Ka Faisla Bhai Behan Mein Tha
Zainab Lapait Ke Baap Se Deti Rahi Sada

Zalim Mere Hussain Ke Seene Pe Tha Sawar
Gin Gin Ke Kar Raha Tha Wo Pyase Gale Pe Waar
Hasta Tha Baar Baar Liye Mere Bain Par
Khanjar Chala Raha Tha Meri Simt Dekh Kar
Aankhon Ke Saamne Mera Bhai Ka Sar Kata

Har Waar Par Sadayein Di Zahra Ke Chein Ne
Ghazi Ko Tera Baar Pukara Hussain Ne
Jaan e Batool Ko Bhi Bachane Na Aaonge
Bhai Humari Laash Uthane Na Aaonge
Bhai Ki Har Sada Pe Tarapta Tha Ba Wafa

Kya Kya Na Dekha Aap Ki Zainab Ne Baba Jaan
Khanjar Rawaan Tha Halaq Pe Khoon Halaq Se Rawaan
Rakhti Thi Apna Dukh Mein Chupaye Rida Ke Sath
Khanjar Ko Saaf Karta Tha Shah Ki Aba Ke Sath
Bhai Tha Mera Khaak Par Bejaan Para Hua

Bosa Gaye Rasool Ko Jab Zabah Kar Chuka
Zulfon Se Sar Utha Liya Mere Hussain Ka
Is Baat Par Bhi Zalimon Ke Dil Nahin Bhare
Sayyadaniyon Ke Maut Ke Asbaab Yun Kiye
Sar Ko Dar e Khayam Par Laakar Gira Diya

Seene Mein Uske Pehlu Mein Aankhon Mein Teer The
Peshani Par Bhi Teer The Uske Lage Hue
Baba Najaf Ke Simt Pukara Hai Aap Ko
Us Waqt Yaad Karte The Hum Dono Aap Ko
Main Kya Kahun Ke Kaise Wo Sajda Ada Hua

Jee Bhar Ke Teer Us Ghari Barsa Chuke Laaen
Baalon Se Jism e Shah Ka Jism Gaya Laaen
Talwaron Ko Aazmate The Is Tanha Jaan Par
Zakhmon Par Garm Rait Girate The Aa Kar
Patthar Woh Maarta Raha, Patthar Jaise Mila

Hoti Thi Zakhmi Jis Ghadi Amma Ki Ungliyaan
Rokar Yeh Bain Karte The Shabbar Na Tawan
Aye Shimr Mera Sar Jo Tu Chahe Kaat Le
Amma Ka Haath Mujh ko Gale Se Hatane De
Lekin Laaen Shimr Ka Khanjar Nahin Roka

Jaate Hue Bhi Dil Mein Sakina Ka Tha Khayal
Wada Ye Hum Se Leke Gaya Tha Tumhara Laal
Rakhiyo Sambhaal Kar Yeh Amaanat Hussain Ki
Marte Samein Kuchh Aisi Thi Haalat Hussain Ki
Bas Baar Baar Haye Sakina Pukarta

Akbar Ajeeb Shaam e Ghareeban Ki Thi Ghari
Rokar Ali Se Kehti Thi Zahra Ki Laadli
Baba Main Cheh Kar Bhi Na Us Waqt Mar Saki
Jis Dam Badan Ki Rooh Ki Parwaaz Dekhi Thi
Main Dekhti Rahi Mera Bhai Chala Gaya

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *