Sakina Sham Ke Zindaan Main So Gayi Baba
Tamache Shimr Se Khati Thi Jab Bhi Roti Thi
Andheri Raat Me Uth Uth Ke Bas Ye Kehti Thi
Meri Aseeri Pe Roti Hai Bekasi Baba
Ay Baba Aap Ke Seene Ki Us Ko Aadat Thi
Zameen Pe Sone Ki Koshish Main Jaagti He Rahi
Teri Yateema Ko Neend Aayi Na Kabhi Baba
Phupi Se Kehti Thi Ro Ro Ke Ye Batado Phuphi
Sitam Ki Qayd Se Ghar Apne Jaa Sakhain Gain Kabhi
Usse Rihai Na Mar Kar Bhi Mil Saki Baba
Banayi Aap Ne Maqtal Main Qabr Asghar Ki
Lehed Banayi Hain Zindaan Main Maine Muztar Ki
Parhi Jo Fatiha Roti Thi Hathkari Baba
Kafan Lahoo Bhara Kurta He Hai Sakina Ka
Diya Ghusl Bhi Ashkon Se Ayy Mere Baba
Kafan Bhi Rota Tha Aur Main Bhi Qabr Bhi Baba
Nahi Zara Sa Ujala Bhi Us Ki Turbat Par
Andhere Karne Lage Nauha Us Ki Turbat Par
Kare Ga Kaun Yahan Aa Ke Roshini Baba
Bayan Kase Karen Ye Mesum O Mazhar
Jo Bayn Baba Se Karte The Abid e Muztar
Sakina Shaam Ke Zindan Main So Gayi Baba
